Monday, March 3, 2014

Tutaa he Itni baar Ye dil Ka aainaa,

abb is Ko bnane Ki Himmat Nahi Rahii,
Tutaa he  Itni baar Ye dil Ka aainaa,
Taa Umr Hum Jiye Khuwaabo Ke nagar Main,
Achaa Huaa wo khuwab Ki Duniyaa Nahi rahii,
shiddat se Usko chahaa Apnaa Na wo huaa,
Achaa huaa bharam  Ki Wo duniyaa Nahi rahii,
He Sath  Aaj bhi wo Tanhaio Main  kyun,
Bas fark Itnaa sa  huaa,  wo shiddat  Nahii rahi,
dil Ki lagii Ne hum ko kyaa-kyaa sikha Diyaa,
Masomiyaat Wo dil ki, or  hasrat Nahii rahii,
Ku Aaj Bhi Dil mgar Kartaa He intizaar,
Ummid  Jiske  aane  Ki  Bibbo  Nahi  Rahii,

Written   by   hameeda   ameer

No comments:

Post a Comment