Saturday, May 30, 2015

Dhuwaa sa har su nazar ataa aaj mujhe,

Dhuwaa  sa har su nazar ataa aaj mujhe,

Meri  tarhaa  uskaa  bhi  dil  jalaa aesa  lagtaa he,

writtrn by hameeda ameer

Wo kon he mera tujhe nahii ye ptaa,

Wo  kon  he mera tujhe nahii ye ptaa,

Sansei meri jism meraa rooh ye usmein basti he,

Writtrn  by  hameeda  ameer

Bewafai ka na ilzam lagaaya tujhpe

Bewafai  ka  na  ilzam  lagaaya  tujhpe,
Bas tu ik bar mujhe pehle jesi mohabbat  dede,

writtrn by hameeda ameer
 

Tumne jo jaagkar guzari tanhaa ratein

Tumne   jo  jaagkar   guzari   tanhaa  ratein,
humnein  bhi  chen se guzari   kabb  ratein,

writtrn by hameeda ameer

Tu meri nas nas main lahoo banke abb to behtaa he,

Tu meri nas nas main lahoo banke abb to behtaa he,
isi liye teri bewafai ka bhi mujhpe asar na hotaa he


writtrn by hameeda ameer

ye baat sachh he jhutt nahi,

ye baat sachh he jhutt  nahi,  
Tu  meri rooh banke jitaa he,

Writtrn  by  hameeda  ameer

Mujhe khabar he tere dil ki halat mere snam,

Mujhe khabar he tere dil ki halat mere snam,
Is liye  tere  har  gum  hanske  sehti  hoon,

writtrn by hameeda ameer 

Tu chordegaa mujhe ye ptaa nahi thaa mujhe,

Tu  chordegaa  mujhe  ye  ptaa  nahi  thaa  mujhe,
Uske  bad  bhi  main itnaa chahoongi tu heran  kyu he,

writtrn by hameeda ameer
 

Mei kese use ajnabi btaa samjhoo,

Mei kese use ajnabi btaa samjhoo,

Jiski chahat meri nas nas main  palti he,

writtrn by hameeda ameer

Ashq uske wahaa jabbhi behte hain

Ashq  uske  wahaa  jabbhi  behte  hain,
meri   aankhei  yahaa  barasti  hain,

writtrn by hameeda ameer
 

Badal kar bhes wo ataa he kitnaa bholaa he

Badal kar bhes wo ataa he kitnaa bholaa he,
Use khabar nahii uski dharkan yahaa dharakti he,

writtrn by hameeda ameer

Ajeeb shaksh milaa he mujhe zmane main

Ajeeb shaksh milaa he mujhe zmane main
Main jitnaa chahoon takleef utni detaa he

writtrn by hameeda ameer

Malum he mujhe tere dil ki halat

Malum he mujhe tere dil ki halat
Teri dharkan mujhe sunai dety he

 writtrn by hameeda ameer

Jitnaa chahoo main bhulnaa usko,

Jitnaa chahoo main bhulnaa usko,

lahoo  banke  meri nas nas mai behta he,
 writtrn by hameeda ameer


Kese samjhoo ki wo choor gyaa he mujhko

Kese  samjhoo  ki  wo  choor  gyaa  he  mujhko,
Yadoon   Main  har  pal  mere  sath  wahii  rehtaa he,

Writtrn  by  hameeda  ameer

Phool hi phool hain jahaa dekhoon

Phool hi phool hain jahaa dekhoon

Or  har  phool  main  tujhe dekhoo
Khubsurat  hansni  nazare  hain
tere  bin inn ko na  main dekhoon
Yad  ayaa  mujhe  zmanaa  wo
Apni dharkan main bhi  tujhe dekhoon

writtrn by hameeda ameer

Mei thak gai hoo keh keh ke, ki mei sirf teri hoon,

Mei thak gai hoo keh keh ke,  ki mei sirf teri  hoon,

Meri  wafaoo  mei  abb  asar  nahii  rahaa  shayad,

writtrn by hameeda ameer

Wo bhul jaye mujhe rooz ye duaa mangii

Wo bhul jaye mujhe rooz ye duaa mangii
Mere khuda tera shukriyaa jo tune kiyaa


writtrn by hameeda ameer 

Bholi bhali thi main is duniyaa se anjan thii,

Bholi bhali thi main is duniyaa se anjan thii,
Khud  se  khud  bhi naa meri pehchaan thii,

 writtrn by hameeda ameer

Teri betabiyaa jab mujhko nazar aaty hei,

Teri betabiyaa jab mujhko nazar aaty hei,  

Ye hosh mera sakoon  chenn  leke jati hei,
Main  door tujhse  nahi sath tu he mere sanam,
Snam Ye ishq loo mujhe dekh ye jlati he,  
Tu  ajnabi  jo  bnaa  he nahii gilaa  koi,
Ye  Teri  yadein  meri  rooh  ko  mehkati  hei,

writtrn by hameeda ameer

Zindagii mei jo khogyaa gum naa karnaa,

Zindagii mei jo khogyaa gum naa karnaa,
Taqdeer main likhaa thaa ho gyaa gum na karnaa,

writtrn by hameeda ameer

Nafrat hui He aaj mohabbat ke nam se,

Nafrat  hui  He  aaj  mohabbat  ke  nam  se,

Chahaa  tha  humne  jisko dilo or jan se,
Usne  hi  humko  dediya  gum chahat ke nam se,
Dil   meraa  ye taraptaa  Uske  hi naam se,
Gam jisne  thamaa diye mujhe chahat ke nam se,

writtrn by hameeda ameer 

Sunaa he diwaroon ko bhi kan huaa karte hei,

Sunaa he diwaroon ko bhi kan huaa karte hei,

Soch kar kehnaa kisi se hale dil apnaa ae dost,,,,

writtrn by hameeda ameer

Wafaaoo main meri aese wo kuch bas gyaa (bibbo )

Wafaaoo main meri aese wo kuch bas gyaa  (bibbo )
Karon kitni bhi koshish main, nahii dil se wo ku  jataa,

Written by hameeda ameer
 

Uski khushiyoo ke liye choor diyaa mene use

Uski khushiyoo ke liye choor diyaa mene use

Dil ne choraa nahi bas mene use choor diyaa
Waqt ke hathoo majboor huwe hum dono
Is zmane ke liye mene use choor diyaa
Aah bharti hoon or ashq bhi behte hain mere
Usse kehnaa mene ye hale dil choor diyaa
Khush tu rehnaa nahi honaa tu udas snam
Rooh ka rishtaa mene tujhse ye joor diyaa
Chand yadoo ke siwaa pas nahii abb kuch bhi
Teri yadoo se mene ye rishtaa bas joor liyaa

writtrn by hameeda ameer

Zindagi aaj tujhse shikayat he mujhe

Zindagi aaj tujhse shikayat he mujhe
Jitnaa chaha tujhe Utne hi dukh diye hei mujhe
Ajeeb morr pe lakar tune choraa sath
Na ji saku na hi mill  paun main tujhse
Kabhii to khaa  rehm hall par mere bhi tu
Harr  pall Tune gum deke aazmayaa  mujhe
fareb mujhko  diye  Jise chahaa shiddat se

writtrn by hameeda ameer
 

Choor diaa jaa mene tujhko

Choor diaa jaa mene tujhko
khush tu rehnaa ronaa nahii

Choor taa ayaa  thaa  tu mujhko
shikwa gilaa abb honaa nahii
Roungii  bhi tanhaai main
tujh se abb kuch kehnaa nahii
Sajan mere bhool jaa abb tu
aaj yehi main kehti hoon
Milkar bhi hum nahi  mile hain
Aese abb to rehnaa nahii

writtrn by hameeda ameer 

Nafrat hui he aaj mohabbat ke nam se

Nafrat hui he aaj mohabbat ke nam se

Is ne mujhe ansoo diye or kuch nahii milaa
Chahaa jitnaa usko utnaa hi dukh diye
Mujhko meri chahat ka achaa silaa milaa
Sochaa tha umr bhar nibhayega mera sath
Do qadam bhi chala na wo kesa sila milaa

writtrn by hameeda ameer 

Jabbhi aai mujhe yad bahutt teri snam,

Jabbhi aai mujhe yad bahutt teri snam,
Ankho ka Ye  sawan bahutt  tutt  ke barsaa,

writtrn by hameeda ameer
 

Fareb khaye hain itne ki abb samhalnaa Nahii

Fareb khaye hain itne ki abb samhalnaa Nahii,
Tu  Bewafaa nahii phir bhi yakeen karnaa  Nahi,
Main bhool jau tujhe ye bhi na mumkin hai,
Magar main yad rakhoon  tujhko wadaa karnaa nahii,
Kiyaa thaa pyaar kabhi tune tutkar mujhko
Wo lamhaa yad mujhe karke aankh bharnaa nahi,
Yakeen aaj bhi chahat pe teri karti hoon,
Magar ye bat sanam abb main tujh se karnaa nahiii

writtrn by hameeda ameer
 

Kitni majboo he meri chahatt ye ptaa he tujhe,

Kitni majboo he meri chahatt ye ptaa he tujhe,
Kitnaa chahaa tujhe dil ne ye ptaa he tujhe,

Hzaaroo bar ye todaa tune nadaa dil,
Kiyaa he maf hmashaa ye ptaa he tujhe,
Naa jisakungii main chen se binaa tere,
Magar kiyaa he ye wadaa ye ptaa he tujhe,
Sakun miltaa he dil ko jab main dekhu tujhe,
Na hogaa abb kabhii deedar ye ptaa he mujhe,

writtrn by hameeda ameer 

Ku aaj rooi main batoo pe uski, mujhe pataa hii nahii,

Ku aaj rooi main batoo pe uski, mujhe   pataa hii nahii,
Ye dil  kyu  aaj   chahe bas use, mujhe   ptaa  hi nahii,
Wo   khush rahe ye  dil   duaa   kyu   detaa he,
Meri  Khushi  main uski   khushi chipi,mujhe pataa hi nahi,
Ajeeb   morr   pe   lai   tu  zindagi   mujhko,
Use   main   Chahoo  Naa  chahoo  ye  ptaa hi nahii,
Zmaane  bhar  Main Wafaoo ka  aaj  charchaa he
Meri  wafaoo  ka Use hii  kyu  ptaa  Hi nahii,,,


writtrn by hameeda ameer 

ho gyaa ishq Mujhe Aaj Aesaa lagtaa he,

ho gyaa ishq  Mujhe Aaj  Aesaa lagtaa he,

Jahaa  ye  aaj  prayaa  huaa  saa   lagtaa  he,
Jidhar   bhii  dekhoo  Wahaa  tu hi tu  nzaar aaye,
Nasha ye  terry chahat  ka mujhko lagtaa he,
Ye  dil  meraa  he  tere  hi sirf sapne bunei
Jahaa se tuttaa rishtaa ye mujhko lagtaa he,

writtrn by hameeda ameer 

Main bhool jau tujhe or zindaa rahoon,

Main   bhool  jau  tujhe  or  zindaa rahoon,

Yena mukin he Tu  is  bat  par  yaqeen  to karr,

writtrn by hameeda ameer 

Ronaa nahi naseeb pe ye buri bat he,

Ronaa  nahi  naseeb pe ye buri bat he,
Haste rahoo har hal mai ye zindagi ik sogat he,

writtrn by hameeda ameer
 

Badal kar bhes samjhtaa he wo main nadaan hoon

Badal  kar  bhes samjhtaa he wo main nadaan hoon,
Use  khabar  nahii  dharkan  se  bat  hoty  he,

writtrn by hameeda ameer 

MUSKURANE KI BHI KU ABB ADAAT NAHI RAHI,

MUSKURANE KI BHI KU ABB ADAAT NAHI RAHI,
TUM KYAA GYE KOI BHI KU ADAT NAHI RAHI,
WRITTEN BY HAMEEDA AMEER 

Har dil ki ikk kahani hoti he,

Har dil ki ikk kahani hoti he,

har larki ik rajaa ki rani hoti he,
koi miljataa he chahat mai,
kisi ki moot hi jwanii hoti he,
na karnaa bhool kar bhi bewafai,
sachii chahat hi ache dil ki nishani hoti he,
written by hameeda ameer

Mujhe jo bhi sazaa de tu, ye tera karam hai snam

Mujhe jo  bhi  sazaa  de to, ye tera karam hai snam,
tere  ishq main dii huai har chiiz pyaari he mujhe,


writtrn by hameeda ameer 

Friday, May 15, 2015

Haste ho jo mujh par yun anjan smajh karr,

Haste  ho  jo  mujh  par  yun  anjan  smajh  karr,
Tujhe khabar nahii tere dil ki har bat se wakif hoo main,

writtrn by hameeda ameer
 

Chamkte chand ke jesii tery ye chahat he,

Chamkte  chand ke jesii tery ye  chahat  he,
Jiski  chandni  main, roozz  nahayaa  karti  hoon,

writtrn by hameeda ameer
 

Sher bangyaa tujhe jo alfaz likhe,

Sher bangyaa tujhe jo alfaz likhe,
Ajeeb  bat  he  tajjub he mujhe,

writtrn by hameeda ameer
 

Dil gwahi meraa ye detaa he

Dil gwahi meraa ye detaa he,
Tu bahutt pyar mujhe kartaa he,

writtrn by hameeda ameer
 

Chand tujhko kahu to thik nahii

Chand tujhko kahu to thik nahii,

Tujhko suraj kahoo  to thik nahi,
Phool  tujhko  kahu  to thik nahi,
Tujhko  nadiyaa  kahu to thik  nahi,
Chandni  raat  kahoo  to thik lage,
Tujhko  kirne  kahoo  to thik  lage,
Tujhko  khushboo kahoo  to thik lage,
Sari  duniyaa  nzar  aaye  tujhmei,
Tujhko  Rab ka mei to noor kahoo,
Tujhko  farishtaa  kahoo  to thik lage,
Itni  diwangi  mere  dil  main,
Khud  ko  majnu  kahoo to thik lage,
Tujhko  lelaa  kahoo  to thik lage,
Tujhko  sheeri  kahoo  to thik lage,
Tujhko  sohni  kahoo  to thik lage,
Kitni  mery  ajeeb  chahat  he,
Tujh  pe marmitnaa mujhko thik Lage,,, 

Written  By  hameeda  ameer