Thursday, May 7, 2015

Aaj bachpan ki yad aai he,

Aaj bachpan ki yad aai he,
Ammi abbu ki yaad aai he,
Kis qadar mujhko pyar karte the,
Bat wo yadd sari aai he,
Ashq aankhoo se mere behte hai,
Yade bachpan jo mujhko aai he,
Unke jesa jahaa mai koi nahi,
Unki chahat ka koi mool nahi,
Ladli mai to unki bety thi,
Behen  bhai mai sab se choty thi,
Jo  bhi  galti wo  maf hoty  the,
Bat wo sari yad aai he,
Dant kar mujhko khud maa roti thii,
Jan wo mujhko apni kehti  thi,
Aaj tanhaa he jan unki ye,
Unki yadei he or aansoo hai,
Dil tarap taa he or roti hoo,
Gum ye  meraa kam  nahi hotaa,
Unka chehraa nazar se hartaa nahi,
Ammi abbu ka pyaar ghat taa nahii,
Chehraa unkaa nazar se hat taa nahii,
Dil ki dharkan mai wohi baste hai,
Kabhi rote kabhi wo hanste hai,
Lahoo ban kar wo dil mai behte hai,
Unke jesa nahi koi doojaa,
Dil to kartaa he bas mera poojaa,
Unke jesa koi na pyaraa he,
Khushiyaa jo apni bas nisar karei,
Unko mai dekhti hoon har she mai,
Chand taro mai ujaloo mai,
Meri parchaai ban wo chalet  hai,
Meri tanhaai mai bhi sath  chalet  hai,

written by hameeda ameer

No comments:

Post a Comment