Sunday, May 11, 2014

Gum ke badal aek din chat jayenge

Gum ke badal aek din chat jayenge,

Bichre ye dil aek  din mil jayenge,

Sath teraa pahi lenge hum snam,

Rat-din chahat main jalte jayenge,

Nam teraa leke guzri zindagi,

Sajdoon main bas tumko  mange jayenge,

Char din ki hi sahi ye zindagii

Nam hum to bas tere kar jayenge,

Do ghari ko sath hi tera mile,

Teri banhoo main  bass  marjayenge,

Dil ki hasrat dil main hi rehjayegi,

Sath teraa hum kabhi naa payenge,

Sunte the dilse duaa hoty qabool,

Bas khuda se tumko mange jayenge,

 


written by hameeda ameer

Zmanaa karle kuch bhi, sitam nahii he gum,

Zmanaa  karle  kuch  bhi,  sitam  nahii  he  gum,

Duaa  yehi  bas  tum kabhi,  na badloo humse,



written by hameeda ameer

main janti hoon, tere pyaar main nahii dhokaa

main  janti hoon, tere pyaar main nahii dhokaa,

Na  jane  phir  bhi  dil  meraa,  kyun ye dartaa he,

main  janti hoon,   teraa  pyaar  sirf  meraa he,

Na jane is jahaa se, dil  kyun  ye  dartaa he,

main janty hoon,  tu sirf-sirf meraa he,

Na jane dil  main,  kyun  shak  ik ye rehtaa he,

Main kyaa karoon na,  agar tujhse, btaa pyar karoon,

Teraa  ye  ishq  hi,,,  duniyaa main  sirf  mera  he,



written by hameeda ameer

Naa dil rahaa ye apnaa, na tum rahe apne,

Naa dil rahaa ye apnaa, na tum rahe apne,

Ajeeb moor pe  ye zindagii bhi lai he,

Ye din bhi raat he, or zindagi andheri he,

Chale bhi aao, ye dil ki shamma  jalai he,

Kati he umr  ye sari is sahare parr,

Kbhi to tum ye kahoge ki hum tumhare he,



written by hameeda ameer

Ye kesi dil lagi tune ki mere pardesii,

Ye kesi dil lagi tune ki  mere  pardesii,

ye dil churaa ke, tu bangyaa he  pardesii,

Main teri yaad main din-raat aese khoi hoon,

Banii hoon  ajnabi duniyaa se, mere pardesii,

Chalaa bhi aa,   ye dekh shamma jalti he,

Main bhi  Mom ki tarhaa jalti hoon, dekh padesi,

Ye duniaa ajnabi, gum apne dost lagte hain,

Rehm tujhe kabhi nahi ataa kyun,  mere padesii,



written by hameeda ameer

Trap ye kesi he humein kuch khbar hi nahii,

Trap ye kesi he humein kuch khbar hi nahii,

Bas itnaa ptaa he, din raat hum tarapte hain,


written by hameeda ameer

Teri hasrat ne humain,

Teri hasrat ne humain,

chenn se jine na diaa,

Teri chahat ne jine na,   

Na humein  marne hi diaa,

Gum tere hijr ka badhtaa hi gyaa,

Jitna  saha  mere qalit snam,

Teri chahaat ne humein,

kabhi ku chen  lene na diaa,


written by hameeda ameer


Milne ko milgai hain, humain apni manzilein,

Milne ko milgai hain, humain apni manzilein,

Pakar phir bhi tujhko pyaas he, ye kesi pyaas he,

Jine ko to jite rahe, tere  pyar  main  snam,

Jikar bhi tere sath, ajeeb sa dil  beqaraar he,

Ye jante hain hum,  tu kartaa he bahut pyar,

Chahat pe teri ptaa nahi,  kyun na atbaar he,

Tum choor ke chal doge, ye sochte hain hum,

Chahat hmari yad karoge, lott aaoge ye atbar he,

Marne ko to marte hain, zindagi main ik din sabhi,

Hum markar  bhi na marenge, ye ku atbar he,

Kehne ko sabhi kehte hain, janmoo ka he ye sath,

Aese  hi  log  nahi dete,  ik  janam main bhi sath,

Ik  teraa  sath ho bas, ye aarzoo he  dil  ki,

Marne ko to kab ke  margaye hote, ik  intzaar he,

Tere  Deedar ki hasrat main,deti hei ye sanse bhi sath,

Tu door he aaj to,  kal hogaa  tu  mere  sath,

Bas issi ass pe zindagi de-rahi he hmaraa  sath,

 


Written  by  hameeda  ameer

Dil ko behlate rahe, bas yehi kehte rahe,

Dil ko behlate rahe, bas yehi kehte rahe,

Wo abb chal chuke hain,dil teri pookar par,

 


written by hameeda ameer

Jaltaa he jahaa humse hum ko jahaa se kyaa

Jaltaa he jahaa humse hum ko jahaa se kyaa,

Humne to aapko,,,abb zindagi apni bnaa liyaa,

 


written by hameeda ameer

Beete tere khyaal main, apne to raat-din,

Beete tere khyaal main, apne to raat-din,

Or tum ye poonchte ho humain yad bhi kiyaa,

 


written by hameeda ameer

Kyun aaj har taraf sirf gum ke mele hain,

Kyun aaj har taraf sirf  gum ke mele hain,

Luttaa  huaa  he  zindagi ka karwaan,

Teri  aane  ki  ye ummeed-e-kiran  doob  gai,

Jo aaj  tak teri ummeed main jalaai  dil ne,

Kyun teraa intzaar  din-rat phir-bhi  karte hain

Jab ki malum he din ke  khuwab bhi,

Kyaa   kabhii  pure huaa karte hain,

 


written by hameeda ameer

hum hi ku deed ke pyase rahe,

hum hi  ku  deed ke pyase  rahe, 13.1.1988 ki,,

Chand  taroo  ne, nazaroo ne,  

teraa deedar kiyaa,

Yun to har chiz teri pyari he humein,

Sabse  pyara  wo pall  he,

Jab  teraa deedar  kiyaa,

Kitnaa sam-jhayaa nadaa dil ko,

Magar phir bhi isne har lamhaa,  

khyalo main teraa deedar kiyaa,

Kabhi to humko milegi pyar ki manzin,

Bas  isi  khyal  se,  khud se sdaa, iqraar kiyaa,

Kab  aaoge  tum  lekar hasratoo ke mehall,

Kitne nadaa hain hum, ik bewafaa pe atbar kiyaa,

Tutt  jayenaa  ye  sasns  ki dori  ajaa,

Ruth  jaye naa  ye zindagi abb to ajaa,

Tarap-tarap ke sdaa dil ne aaj  tujhko  dii,

yehi tanhai main,  bas  tujhse izhar kiyaa,

Kyun dil main gum, aankhoo se ashq  ye dhalte hain,

Hazaroo dost hain,  phir bhi hum ne tujhi se pyaar  kiaa,

Aaj luttaa huaa sa dil-ka, karwaa ku lagtaa he,

Aa  bhi jaa-aaj tujhe  bahutt dil ne yad kiaa,


written by hameeda ameer

Aaj gum hain, to kal khushiyaa bhi hogii,

Aaj  gum hain, to  kal khushiyaa  bhi hogii,

Aaj  andheri  rat he, kal din bhi ye  hogi,

Chiptaa  he suraaj, kab-tak  chipegaa,

Gum  ki ghtayein, kabhi to hategi,

Jo  aaj   andheri rat He, kal  chandni bhi  hogi,

khushi ka diyaa kabhi to jalegaa,

chatki  jo  kaliyaa, ye bhool bhi to  hogi,

kali jo khilegi,  gull bhi to hogii,

na ghabraa gumoon se, nadaa mere dil,

jo   khushk  roti, kal tar bhi  ye  hogi,

tu  chaltaa jaaa bas zindagi ke sfar main,

sachchai  ki ye raah,  kabhi manzill  bhi hogi,

zmane  main jinaa bahut hi kathin  hain,

magar sbr  kiyaa jo,  uski  qimat bhi hogi

tu  sach  ki  dgar  parr, chalta-chalaa-chall,

jo  niyat  he achchii,  to manzill  bhii hogi,


written   by  hameeda ameer

shabnami tar he, or teraa ye sath he,

shabnami tar he, or teraa ye sath he,

lakhoo sapne, lekarr  aai  ye rat he,

dil samhale  ye samhaltaa nahi  ku aaj,

tere banhoo main, aaj  sone ki ye rat he,

kitni sadioo se tarapte the, tere hone ko,

tum mile ho, dil ko  yakeen  na aye, ajeeb bat he,

tu milaa he to mili, aaj, jahaa ki khushiyaa,

dil mera bas main nahii,  kyun   aaj  ye  rat he,

abb to dedo  mere hatho main tum ye hath snam,

abb na shrmaao gale lagjaoo, milan ki rat he,,

 


written   by  hameeda ameer

khuwab dekhaa thaa wo pooraa hogyaa,

khuwab dekhaa thaa wo pooraa hogyaa,

aaj  banhoo main  teri jo  hum aagaye,

rat  din jiski duaa  karte  the  hum kabhi,

aaj  dekhoo  wohi  pal hum  bas pagyaa,

zindagii bhar kaa abb to sath he ye,

bat ye kehkar  aaj  hum  khud shrmagye,

 


written by hameeda ameer

tujho chahaa is qadar tut kar snam mere,

tujho chahaa is qadar tut kar snam mere,

meri har sans main bas teraa nam ataa he,

 


written by hameeda ameer

meri maa mujhko kyun pyari he,

meri  maa  mujhko  kyun   pyari he,

raaz  ye aaj  tum  ko batlaa doon,

nam  uskaa  he  bass ik  qurbanii,

sari  duniyaa  main  bas wohii danii,

sari   duniyaa  he,  maa  ki   diwanii,

sari duniyaa main, maa  nirali  he,

meri  maa  mujhko  bahutt   pyari he,

maa ke qadmoon main meri  jannat he,

maa  ki  khushioo  ki  mangi  mannat he,

maa  ke  anchal  main  duniyaa  sari  he,

bache  hum maa  ke,  sab   fulwari he,

maa  ki   bagiyaa  ye  kitnii pyaari he,

mere is dil  ki   maa  meri  ranii  he,

meri   maa   mujhko  kitni  pyari he,

maa  ka  anchal  rahe  sdaan  sarpe,

rabb  se  yehi  duaa  hmari   he,

 


written by hameeda ameer

har dil main jalade tu mohabbat ke bas chraag,


 
har dil  main  jalade  tu mohabbat ke bas chraag,

sune se jahaa  main, kuch rochnii hojaye mere khuda,


written by hameeda ameer

wo dekho chale hein, mera dil churaa ke,

wo dekho chale hein, mera dil churaa ke,

ye  aahein  meri, abb na  jayein  ye  khali,

ibadat  kari  he, khuda humne  itnii,

duaa  ab khudayaa  ye   jaye na   khali,

tujhi se  ye faryad karte  hain ya rabb,

tu  bharde  mohabbat  se  jholi  hmari,

tu chahe to bas-jaye ujre huwe dil,

duaa  tujhse  mangi  naa  jaye  ye  khali,

tere  darse lote naa  koi   khali  swalii,

he ummeed  dil ko, ye kehta  swali,

 


written by hameeda ameer

jo rakhte hain neechi, nigahoo ko zyadaa,

jo rakhte hain neechi, nigahoo ko zyadaa,

unhii  ka  nahi  war  jataa  he  khali,

jo  karte  nahii  hain, mohabbat  main wada,

wahi hain  nibhate  mohabbat  main   wada,



written by hameeda ameer

ishq ye ishq he, ye ik bas diwanaa pan,

ishq  ye  ishq he, ye ik bas diwanaa pan,

jab huaa tumse,,, to yakeen ayaa humko,

 


written by hameeda ameer

ye intzaar mujhe, teraa kitnaa pyaraa he,

ye  intzaar mujhe, teraa kitnaa pyaraa he,

teraa  ye ishq hi,  jine ka  ab saharaa he,

hazaar zulm kare ye jahaa,  magar  phir bhi,

teraa   ye  sath he,  ye zulm bhi gwaraa he,

 


written by hameeda ameer

wafaa karoge tum, nahi ye ptaa,

wafaa karoge tum,  nahi ye ptaa,

hum-ko apni wafaoo par, to bharosaa he,



written by hameeda ameer

kitne pagal hain ye jahaa wale,

kitne pagal hain ye jahaa wale,

ye smajhte hain tu akelaa he,

ye nahi  jante ki tere sang,

meri yadoon ke  ye melaa he,

 


written by hameeda ameer

Monday, May 5, 2014

chandni rat he, sitare hain,

chandni rat he, sitare hain,

meri aankhoo main andhiare  hain,

teri yadoo ke deep jalte hain,

ashq  aankho se dekh dhalte hain,

chand lagtaa he ik angaraa,

mom ki simt  hum pighalte hain,

tere bin  bhole o snam  mere,

ye sitare bhi dil main jalte hain,

gum main doobi he zindagi ajaa,

ye hwayein bhi shool lagti hain,

chandni raat bhi jalaaty he,

yad ye teri sab dilati he,

haye kesi he apni ye dory,

haye kesi he dil ki majboori,

tu meraa, or main teri hokar,

phir bhi apni he ye kyun doori,

bin tumhare rahaa nahii jataa,

darde dil abb sahaa nahi jataa,

abb to chup bhi nahi rahaa jataa,

gum main doobi hui hain ye sansein,

ishq ne di hain ye  sabb sogatein,


written by hameeda ameer

aaj kmi nahi he, zindagii main pyar ki,

aaj kmi nahi he, zindagii main pyar ki,

jidhar bhi dekhty hoon tu hi tu dikhtaa he,


written by hameeda ameer

khtaa meri maf kardenaa snam mere,

khtaa meri maf kardenaa snam mere,

tujhe chor to diyaa, magar na bhulpaungii,


written by hameeda ameer

trap ye dil ki kesii he kuch khbar hi nahi,

trap ye dil ki kesii he kuch khbar hi nahi,

bas teri judai main  aankh ye brasti hain,


written by hameeda ameer

chand tu, or main ik jese,

chand tu, or main ik jese,

tu  tanhaa wahaa,sitaroo ke bheech,

or  main   tanhaa hoon,

yahaa  hazaroon ke  beech,,,,


written by hameeda ameer

Ye zaruri nahi ki mohabbat main sabhi mil-jayein

Ye  zaruri  nahi  ki mohabbat main  sabhi  mil-jayein,

Kuch   aesi  chahat  hoti he, door hokar sansein sath chalti hain,

 


written by hameeda ameer