Monday, May 5, 2014

Teri aankhoo ko abb main,Btaa kyaa nam doon,

Teri aankhoo  ko abb main,Btaa  kyaa nam doon,

Teri  aankhoo ko  mein, main  ka ye nam  doon,

Mene dekhaa  jo  inko, main  khoogyaa,

Bin piye mujhko, dekhoo  nashaa hogyaa,

Apni   aankhoo ko mujhse htalo  zaraa,

Mujhko barbaad hone se,bachalo  zaraa,

Dil ye chahe,main  in main hi,dobaa rahoo,

Rat-din  is  nashe  main, main  doobaa  rahoon

Ye  tum bhi  na chahoge mere  snam,

Ke  duniyaa bhulaa kar, main   dooba  rahoo,

Teri  Nazrein jhuki ye,  adaa  bangai,

Tune  nazrein  milai  kazaa  bangai,

Abb  main jaun  kahaa, dar  teraa  choorkar,

Teraa mein khanaa, abb hum se chut-taa  nahii,

Ye  Adaao se dil  teri  bhartaa nahii,

Tere  ishq  main, mein  to  pagal  huaa,

Ye  Nigahei  teri  kram  karty  rahein,

Meri  sansein,teri chahat  se chalti rahein,

Tune  Mujhko ye  zindagi bakhsh dii,

Teri   chahat mili, mujhko jannat  mili,

Ye  Zmanaa hein,  in  main smayaa  huaa,

Ye   Zmanaa  he  in-kaa   stayaa huaa,

Ye  Jise chahein bas  zindagii bakhsh dein,

Ye  Jise chahein  gar  moot  bhi  bakhsh  dein,

Ye  jo  chahein bnaa dein  jannat jahaa,

Ye  jo  chahein to  Murdoo ko,  zindagi bakhshdein,

Ye   jo  chahein to  Pyasoo ko, main  kasha  bakhsh  dein,

In   ki  aankhoo  main  dono  jahaa,  smaya  huwa,

Ye   Zmanaa  he  inkaa  stayaa  huaa,

Ye  Jise  chahe  jab   zindagi  bakhsh  dein,

Ye  Jise chahein jab   bandagii bakhsh dein,

Ye  Jise chahein jannat  bhi, ye bakhsh dein

Ye jise  chahein jab chahein, jo   bakhsh dein,

In  Hseenoo  ke  daman main,  donoo jahaa,

Ye  jo  chahein  tumhein  zindagii  bakhsh dein,

Inko    doge  Mohabbat  jo sachii  sunoo,

Is  jahaa main hi jannat  tumhein bakhsh dein,,,,,,,,,,,


written by hameeda ameer

No comments:

Post a Comment