Tuesday, October 22, 2013

Kachchi kali thi mai, bahare shabaab ki,

Kachchi  kali  thi  mai,  bahare  shabaab  ki,
Khilne se pehle mujhko khizaa ne jalaa diyaa,


Written   by   hameeda   ameer

Gum kisi ko gar lenaa hai, to sirf ishq kar lenaa,

Gum kisi ko gar lenaa hai, to  sirf   ishq  kar lenaa,

Do ghari ki khushi ki khatir, zindagi ko  tabaah kar lenaa,


Written   by   hameeda   ameer

Mohabbat mai, apni khushi se, do dil ik hote hai,

Mohabbat mai, apni khushi se,  do dil ik hote hai,
Zabardasti mohabbat mai, wafaye rang  na  lati,


Written   by   hameeda   ameer

Khud pe dhaye humne sitam kuch aese bhi,

Khud  pe dhaye humne sitam kuch  aese bhi,
Ik anaa ki khatir zkhm  nasoor  bangaye apne,



Written   by   hameeda   ameer

Udhte rahe akaash mai, wo awaaraa sabhi badal,

Udhte  rahe  akaash  mai, wo  awaaraa sabhi badal,
Ik baar bhi  chatt   par  meri  akar  nahi  barse,



Written   by   hameeda   ameer

Nadan ho, bholi ho, abhi nahi dungaa ye tumko,

Nadan ho, bholi ho, abhi nahi dungaa ye  tumko,

Samhal  rakkha  he,  ye  dil  sirf  teraa  he snam mere,


Written   by   hameeda   ameer

Rehti he yad is mai, ye ghar he dil tumharaa,

Rehti he  yad  is mai, ye ghar he   dil  tumharaa,

Ab isko sajanaa,  swaarnaa,   ya toorna ye kam hai tumharaa,


Written   by   hameeda   ameer

Humei naaz he khud par aaj, tujhe chahne ke bad,

Humei   naaz  he  khud  par aaj, tujhe chahne ke bad,
Kuch din to pachtaye  the hum,  tujhe  dil dene  ke bad,



Written   by   hameeda   ameer

Fitrat badal gai tujhko chah-kar meri,

Fitrat  badal  gai   tujhko  chah-kar  meri,
Ratoo  ko jagnaa  mery  adatt  si  hogai,



Written   by   hameeda   ameer

Tu jab qareeb ayaa, hum dil laga bethe,

Tu  jab  qareeb   ayaa, hum  dil laga bethe,

Kyun sapnoo mai ik,  hum  mahel  banaa bhethe,


Written   by   hameeda   ameer

Apne zakhmoo ko hum dikhate nahi,

Apne zakhmoo ko hum  dikhate nahi,
Apne   zakhmoo ko hum dikhaa  kar,

kabhi   Kisiko  hum  rulate   nahi,
Qareeb  kitnaa  bhi  koi  dost kun a ho, 
dastaa  dil  ye  hum  usko kabhe  sunate  nahi,

Written   by   hameeda   ameer

Monday, October 21, 2013

Jab tujhe dekhte hai, hum duniyaa ko bhol-jate hai,

Jab  tujhe  dekhte hai,  hum duniyaa ko bhol-jate hai,
Na khtm ho wo lamhaa,  hum  duaa  ye  kiye   jate  hai,



Written   by   hameeda   ameer

Dil tujhe bhool jaye kabhi, ye khuda na kare,

Dil   tujhe  bhool  jaye  kabhi,  ye  khuda  na kare,

Bhool  ke tujhko mai  zinda na rahoo, ye duaa  mai karoon,


Written   by   hameeda   ameer

Duaa mangii he dilne tu khush rahe mere dost,

Duaa  mangii  he  dilne  tu  khush  rahe   mere  dost,

Mil  jaye tujhe wo jise  tu dil-se, shiddat se  chahe  mere dost,


Written   by   hameeda   ameer

Soopde tu ye dil kisi ko, ae mere pyare dost,

Soopde  tu  ye  dil  kisi  ko, ae mere pyare  dost,

Sunaa  he  har  qadam par  dil  ke  choor  bethe  hai,

Written   by   hameeda   ameer


Samjhe the hum ki abb bhool chale hai tujhko,

Samjhe the hum ki abb  bhool chale hai tujhko,

Jab aai  yaad  teri to  aankhei chalaak uthi ye  jane kyun,


Written   by   hameeda   ameer

Shabe gum jab bhi aai, tery yad ne tarpayaa bahut,

Shabe gum jab bhi aai, tery yad ne tarpayaa bahut,

Khuwab aankhoo mai rahe, or tu yaad ayaa bahut,


Written   by   hameeda   ameer

Teraa gum rahaa zindagi bhar bas yuhi haraa,

Teraa gum rahaa zindagi bhar bas  yuhi  haraa,
Bakhshi he tere gumne ye zindagi  mujhko snam,


Written   by   hameeda   ameer


maa woh husti hey jo rehti duniya tak apni aulad ke sath rehti hey,

maa woh husti hey jo rehti duniya tak apni aulad ke sath rehti hey,

yahan ho  ya wahan ho  uski duaien humare sath sath chalti hain,
uski nazre karam aur shfqat ka saya kabhi hum se juda nahi hota.
maa mujhe ek baar phir apne pyar ki thundi aaghoush me sumait ley
bus yehi tamana aur arzoo  hey ki meri maa jahan rahe tu khush rahe
khuda  tere  karam ke badal us per chaya kiye rahen ameen.summa meen

Written   by   hameeda   ameer 

kitnaa haseen mosam ye barish ka he aaj snam mere,

kitnaa haseen   mosam  ye  barish  ka  he  aaj  snam mere,
Jo tum bhi   sath hotaa to kyaa batt   hoti  mere zalim  snam,



Written   by   hameeda   ameer

Dharaktaa he dil bas tere nam se,

Dharaktaa he  dil bas tere nam se,

Machaltaa he   dil bas  tere nam  se,
Tujhe kyaa ptaa mere bhoole  snam,
Ki  kitni  he  chahat  ye tere  nam  se,

Written   by   hameeda   ameer

Abb uski aas mai kyaa rakkhaa he,

Abb uski aas mai kyaa rakkhaa he,

Abb dil ki pyaas mai kyaa rakkha he,
Bhool-jaa usko  tu mere  diwane dil,
Chand  ki  aasmai  kyaa  rakkha he,


Written   by   hameeda   ameer

Zakhm chahat main jo hum ko mile btayei kisko,

Zakhm  chahat  main  jo  hum  ko  mile  btayei  kisko,
Sabhi   phool  murjaye, rehgaye   khar  dikhayei   kisko,

Written   by   hameeda   ameer



Wo aaye keyi baar dil ko kyu, mere aesaa lagaa,

Wo aaye   keyi baar dil ko  kyu, mere  aesaa  lagaa,
Ajeeb   she-he  ye   intzaar-e-yarr—bhi sunoo  yaroo,


Writen   by   hameeda   ameer

Tujhko malum he ye, angina bhool chune hai mene,

Tujhko malum he ye, angina bhool chune hai mene,
Har ik  phool mai,   bas   tujhko chipayaa  he snam,


Written   by   hameeda   ameer

Ajaa tujhe mai apni, Palkoon main chipaaloon,

Ajaa   tujhe  mai  apni, Palkoon  main chipaaloon,
Is dil  ka tujhko aaj  main  Aainaa  bnaaloon,
Itni  mohabbat  he mere  is dil  main snam,
Aajaa  main  apni  tujhko,Sansoon  main   chipaalun,
Aajaa   meri   bhnhoo  main aa, Tujhe  is  jahaa se  churaalun,
Aajaa  bnaloon  zindagi, tujhe  mei   jaan  bnaalun,
Gum  lekar tere  sare main, Khushiyaa    main  apni dyun,
Raatoo  ka  chand  he  tu  meraa, Aa  tujhe  sine  se  lagalun,

Tapti  hui  jo  dhoop ho, Apne  aapko, Teraa   sayaa   bnaadun,
Tere  liye   main  khudko, Purwai  ka  ik  jhooka  bnaadun,
Na   choo-sake tujhe  duniyaa  kaa  koi  gum,
Duniyaa   se   chipaakar,Tujhe  is  dil  mai  chupalun,
Dil   main,  main chipaa  kar Tujhe, apni  rooh  bnaalun,
Sare   jahaako  bhulade tu,Bas  mujhko   choor-kar,
Tujhko  mai   aaj  aese, Apni  roohh,  jism  banaalun,


Written   by   hameeda   ameer

pyar teraa badalte huwe mosam ki tarha he mere humdam,

pyar  teraa  badalte huwe mosam ki tarha he mere  humdam,
kabhi  banjate  ho  sawan, kabhi tapti hui  dhoop  ho  tum,

written by hameeda ameer


qabool hogi, duaa dil se jo karoge tum,

qabool  hogi, duaa dil se jo karoge  tum,
sache  dil  ki duaa  kabhi    khali  nahi jati,



written by hameeda ameer  

Tu agar zulm bhi kare to main kuch nahi kehti,

Tu   agar   zulm bhi  kare to main  kuch nahi  kehti,
Teri   khushi  ki  khatir  hansti hoon,  kabhi  nahi roti,



written by hameeda ameer

Parwardigar aik bar woh dikhade bas haseen chehra,

Parwardigar   aik  bar   woh  dikhade  bas haseen   chehra,
Phirr   is   ke  bad  na  koi  dosri  iltajaa  na tamana  hogi,


written by hameeda ameer

me har zabaan samjhty hu, bas kehti nahii hoon,

me har zabaan samjhty hu, bas kehti nahii hoon,
tu naraaz  naa ho is liye kuch  kehty  nahii  hoon,

meraa maqsad he bas tujhe khushiyaa  denaa,
is liye tujhse ye dastaane  dil  kabhi   kehti nahi hoon,

written by hameeda ameer

thik to wo hote he jo bigre hoon zamane main snam,

thik  to  wo  hote he jo bigre hoon zamane main snam,
tune dekhaa nahi meri wafaoo ka  khzaanaa   ye  kabhi,



written by hameeda ameer 

dil to dil he, ye bhudhaa jwan nahi hotaa,

dil  to  dil  he, ye   bhudhaa  jwan nahi   hotaa,

dil   kalaa,  goraa,  ya  motaa   patlaa  nahi   hotaa,
dil  jispe   ajaye  ye   phir   palat ke pechee  nahii  dekhtaa,
laakh  mana   kare koi ye diwanaa  phir  kisi ka  nahi  hotaa,


written by hameeda ameer 

kon samjhaye is dil ko, ki nahi mumkin uska milnaa,

kon  samjhaye  is  dil  ko,  ki  nahi  mumkin  uska  milnaa,

chand  he wo to raatoo  ka,  jis  ki chandni  mai  bas he  jalnaa,


written by hameeda ameer 

jis ke ishq ki khatir tune din raat ashq piye,

jis  ke ishq ki  khatir  tune  din raat  ashq  piye,
wohi  na-janaa  tere dil ki  dastaan  jane  kyun,bibbo,



written by hameeda ameer 

dil tu kyun rotaa he, kyaa diwanaa he tu

dil   tu   kyun  rotaa  he,  kyaa   diwanaa   he tu
dil  tu  kyun  hanstaa  he  kyaa  pagall  he tu,


bholjaa  usko tu,  wo tere  ishq  se  anjan he,
tujh se  tere  ishq se  wo aaj  bh bareshan   he,

written by hameeda ameer

Zindagi ko, yaa khud ko, nahi kosnaa kabhii

Zindagi ko,  yaa khud ko, nahi  kosnaa kabhii

Hum jise, jo dete hei, wohi humei miltaa  he sabhi,

Zindagi ki raah main jo beej bote hain hum,

Wohi ik din phodhe  se,  per bante  hain sabhi,

Or hum kyaa bote hei, ye hmare upar he ye,

Gulab,chameli,mograa,yasmeen, yaa kante,

Kabhi afsoos nahi karnaa, kitnaa bhi gum ku naa ho

Ku ki  gum or khushi rat or din hai,

Chand or suraaj ki tarhaa hain,

Hansi or aansu ki tarhaa hai,

Phool or kantoo ki tarhaa hai,

Koi humei,20 sal pyar kartaa he,

Or 20 minat gali detaa he,

Hum uskaa 20 sal ka pyar phool jate hai,

Ku, akhir ku, bhol jate hain Ye bahut galat bat he,

Uskaa pyar yad kijiye jab uski bat khrab lage,

Achche insane ki pehchan he ye,

Ki dukhoo main bhi, khushi tlash  karte hai,

Hmare aas pas hai sab bas thoraa,

Khud tlash karnaa hai ki humei,

Kis chiiz se khushi milti he,

Dushman he yaa dost,

jisse bhi dil ko sakun mile bat karoo,

gurur ki aag mai jalne se Achaa he,

2 minat  apne ahnkar ko bhul kar,

Apne dost ko mnalo, jiske binaa tum nahii reh sakte,

Nahi jisakte, nahii khush rehsakte,

Bas thoraa sa, pyaar or mafi ki zarurat he,

Sab bhul jate hai, hum log,

yehi to hum insano ki darya dili he,

hum dusroo ki kami par dhiyan dete hei,

Bas kuch der apne dil ke aaine par dhiyan dei

ki hum kahaa galt hei, kyaa sahi he kyaa galt he,

Dil ke shishe ko saf karenge,,,,,,,,,sare masle,

saf nazar aayenge, bas pyar pyar pyar,,,,,,,dete jaoo,

har rishtaa  sirf  pyar mangtaa he,

pyaar ki pyasi he,Ye duniyaa sari,

is  duniyaa main sab  apne hai,

Kisi ko chotaa bada na samjho bas,

hum chote hai, Sari kami hum mai  he,

Ye soch jis din har insane ki hogai,,,,,,,,,,

duniyaa, ghar, bahar, dost, miyaa, bivi,

sab thik har jagha, khush hali,,,,

desh ho yaa ghar, bas pyar se jutnaa he,,

nafrat se,sirf nafrat milty he,

pyaar se, duniyaa milty he, izzat milty he,

khushiyaa milti hai,,,,,,,,,,,,or saraa jahaa, miltaa he,,

khuda, sirf pyaar bhare dil main miltaa he,

usi  main bastaa he, allah ko sirf pyaar,

or rehm karne walaa dil pasnd he,,

wo usi ke nazdeek he jahaa pyaar or rehm bastaa he,,,,,,,,,,kyaa ye sacha he,,,,,,,,ya galat,,,plzz btaiyegaa,,


written by hameeda ameer

Aaj phir mujhko tum pehle jesi sadaa do,

Aaj phir   mujhko  tum    pehle jesi  sadaa  do,
Meri   roti  hui   aankhoo ko phir  aaj  hansaa do,

Barsoon  beet   gaye,  gum  ke sath  jite huwe,
Aaj   mujhe  tum  phir,  mujhe   khud  se  milaa do,,,


written by hameeda ameer 

mitty main to har insane ko ik din miljanaa hai ye sach he,

mitty main to har insane ko  ik  din  miljanaa  hai ye sach he,

jo karjayei zmane main kuch nam wo khas huaa karte hai,

 


written by hameeda ameer

dilo ki bat hameisha tum shyari main kehte ho,

dilo ki bat   hameisha   tum shyari main  kehte ho,

bade ajeeb  ho tum, kon si duniya main  miyaa rehte ho,

na tere dar  ka  ptaa,  nahii  teraa  nam  ptaa,

ik  ajnabii  hokar  bhi kyun aese dil mai  rehte  ho,
na  qasam   khai  kabhi,  na  kiyaa  kabhi  koi  wadaa,
phir  bhi  nibhate  jarahe hai, rasmain  wafa ye hum to,


written by hameeda ameer   

jis ka dill, banjaye,,ishq ka ghar,

jis  ka  dill, banjaye,,ishq ka  ghar,

aese  kismat  par  tu aaj  naaz  kar,
bhatak rahaa tha tu, ret ke mkanoo main,
pukhtaa haweli  mili he, is pe  aaj naaz  karr,,,


written by hameeda ameer