Mei ik aurat hoon
Wo aksar
yehi kehtaa thaa tu sirf mery he,
Tu mery
jan hain, mery
tu zindagi he,
Main uski masoom
chahaat par hansty,
Or sochty kitnaa khoob
suraat khuwaab he ye,
Use ptaa nahii ki main kon hoon
kyaa hoon,
Main sirf
ik parchaai hoon
ik khuwaab hoon,
Ik chand hoon, jiski
chandnii to wo mahsoos kar saktaa he,
magar us
ko choo nahii
saktaa,
main wo aasmaa hoo
jiskoo wo dakh-saktaa he,
magar, choo nahii
saktaa,
Main woo
phool hoon jise wo toor to saktaa he,
magar khushboo qadd
nahii kar saktaa,
main wo dharty hoon,
jis par wo soo saktaa he
magar use
apne wajud nahi bnaa saktaa,
main wo, behti nadii
hoon jis main wo nhaa to saktaa he,
magar, mujhe behne
se nahii rok saktaa,
main ik azaad mooh zoor
hwaa hoon,
jis-main wo zindaa he, jis ke binaa wo ik pal,
nahii ji
saktaa, Jis ko wo sirf
mahsoos kartaa he,
main uske
har sans main
basii hoon,
main usse
judaa nahii, phir
kyun akhir kyun,
wo ahsaas
dilaa-naa chahtaa he ki main uski hoon,
main sirf
uski hoon ye sach he, jab tak ye duniyaa he,
jab tak, ye
chand he, jab tak ye suraj he,
jab tak ye
raat he, or din hain
main bhi, zindaa hoon,
uski sansoo-n
main, us ki dharkan main, sirf
main koon,
main kon
hoon, main ( mohabbat ) hoon,
main (ishq )
hoon, or kuch
nahii hoon,
Jahaa-jahaa mujhe
pyaar milegaa,
Main us
dil main bas-jaungii,
zindagii bhar ke liye,
Or rehty
duniyaa tak Main
sary duniyaa ko yad
aaungii,
main ik ( aurat ) hoon, sirf ik
( aurat ) hoon,
jis ke
binaa ye smaaj,
ye duniyaa adhooraa he,
Jis ke binaa
( jannat ) bhi
mukammal nahii,
Main
hoor ban kar,
wahaa bhi milungii,
Har us
insan ko, jo
mery izzar,
or mujhe
sachaa, pyar sachaa
ishq kartaa he,
main ik
auraat hoo, or
kuch nahii,
main ik maa hoon,
main ik beti hoon,
main ik behn hoon,
main ik biwi hoon,
main ik
mehbooba hoon,
mujhe har
roop main, sirf sachaa
pyar chahiye,
izzat chahiye,,,,,,or
kuch bhi,,,,,,,,,,nahii,,,,,,,,,
writen by
hameeda ameer

No comments:
Post a Comment