Tuesday, August 26, 2014

Abb na karpayegaa koi chahatt mujhse

Abb  na  karpayegaa  koi  chahatt  mujhse,
Sari  duniaa  ko  teraa  ishq btayaa  mene,

Written by hameeda ameer

Jhutt makkari ka cholaa jis rooz utar jayegaa,

Jhutt  makkari ka cholaa jis rooz utar jayegaa,
Dekhnaa  phir  ye  jahaa  jannat  nazar aayega,
Beti  behn  sabki  jo  tum  apni  samjhoge yahaa,
Phir-naa wehshat ka  koi  kirdar  nazar aayegaa,
Apne   maa  bap  ko  tum  pyaar  or  izzat doge,
Phir  na  beta koi    dukhi  tumko  nazar  aayegaa,
Apni  dharti  ko  jo maa ki  tarhaa  tum samjhoge,
Phir  koi  beta, bhai, shohar  na  bichar  payegaa,,,,,,

Written  by  hameeda  ameer

Tumne dekha he kabhi girte huwe pattoon ko,

Tumne dekha he kabhi girte huwe pattoon ko,
Shakh se tutkar peroon main  ronde jate hain,
Tumne  dekhaa  he  kabhii unche  parbatoon ko,
Tutkar khud hi sajdoon main wo girjate hain,
Tumne  dekhaa  he  kabhi madhoosh   fizaaoon ko,
Kese bin poonche  wo khoshboo liyejate hain,
Tumne dekhaa he goor se samundar ko kabhii,
Chandni ratt main kese wo bilbilate hain,

Tumne dekhaa he kabhi sard siyaah ratoon ko,
Kese  jugnoon or  patange  gungunate hain,
Tumne dekhaa he kabhi chohdvii   ratoon ko,
Kese  bechenn  unmein  chakoor  nzaar  aate  hain,
Tumne dekhaa he kabhi gull se door bulbul ko,
Yad  main  gull  ke bichar k wo  kese  marjatein hain,
Tumne  dekhaa  he  kabhii  bhawroon ko,
Kitni   shiddar  se wo  gull  sabhii  khilatein  hain,
Tumne  dekhaa  kabhii  shmma or parwane ko,
Kis tarhaa dono gale milke wo  jaljate  hain,,,

Written by hameeda ameer

Ku Dete ho itnaa gum dil ki zameen ko,

Ku Dete ho itnaa gum is dil ki zameen ko,
Ku samjhte nahi ho ik bas tum hummi  ko,
Ku deewane hogaye hum tere nahi ye ptaa,
Ku  jan aaj  bhi  ye  chirakte, ik bas tumhi ko,,,

Writter by hameeda ameer

Zindagi tu sapne dikhati bahutt he

Zindagi  tu  sapne dikhati  bahutt  he,
Ik  pall  main,  tu apne rang  dikhati  bahutt  he,
Na janaa bhool kar bhi sapno ki duniya mein  ( bibbo )
Zindagi to rehti he,  tutjayein jo sapne ye Rulati bahutt he,,,

Written  by  hameeda  ameer 

Mohabbat main wo Rulate Bahut Hain,

Mohabbat main wo Rulate Bahut Hain,
Mohabbat Main Wo satate Bahut Hain,
Aankhon Main hum Kaajal  lagayei  Kaise,
Sawaan  ki  tarhaa  Wo Rulaate  Bahut Hain,,,

Written  by  hameeda  ameer

Dil ki duniaa ye Khamosh thi,

Dil ki duniaa ye Khamosh thi,
Door takk kahin koi apnaa na tha,
Dil ki duniaa thi, or sirf hum they,
Or door tak koi, sayaa nahi  thaa,
Dil ki duniaa main jab tum aaye,
To ye ahsas huaa mujhe ( bibbo )
Aaj tak ye sayaa bhi to apnaa,
apnaa hokar apna nahi tha,,,,,,,,,,

Written by hameeda ameer

guzar rahe kese zindagi ke din, kyaa kahiye

guzar rahe kese zindagi ke  din, kyaa kahiye,
Kudd  se khud ki laraai ho jese, abb kyaa kahiye,
Dekhoon  jab aaine main, main  khud ko,
Hasdiyaa aainaa bhi  ( bibbo ) abb kyaa kahiye,

Written  by  hameeda   ameer

Jo Mera ishq hi na smajh payaa,

Jo  Mera ishq hi  na smajh payaa,
wo  bhlaa  mujhe  kyaa  samjhegaa,

bhooljaa  use  abb  mere diwane  dil,
jo aajtak na sudhraa abb kya sudhr.payegaa,,,,,,,

Written  Hameeda Ameer

Haste rahoo duniyaa main gum ho ki khushii ho

Haste rahoo duniyaa main gum ho ki khushii ho,
Ye zindagii  ( bibbo )  phirr dubaraa   nahii  milty,,,,
Written  by   Hameeda   Ameer  

ye mante hain bahut fasle hain, aaj bhi hmare beechh,

ye mante hain bahut fasle hain, aaj bhi hmare beechh,
ye hum bolte hain, ye dharkane aaj bhi nahii manti jane kyun,,,,,,
written  by  hameeda  ameer 


nigahein fer lii usne ye sochaa koi dekhnaa le,

nigahein fer lii usne ye sochaa koi dekhnaa le,,,

isii  adaa  se, sabb  raaz-e-dil uskaa  jangaye,

written  by  hameeda ameer


Bahutt Faasle hotehuwe bhi do dil ik ho jate hai,

Bahutt Faasle hotehuwe bhi do dil ik ho jate hai,
Sarhadoo  ke  paar  rahkar  bhi, ye  rishte  nibhay jate hain
Ishq  ke  binaa  ye  duniaa  nhi  chaltii ( bibbo )
Is  liye  dunia  main  do  ashiq  bnaye  jate  hain,

Written  by  hameeda   ameer

Saturday, August 23, 2014

Dil ke zakhm Ko Hum kuchch aese Chupa Lete Hein,

Dil ke zakhmoon  Ko Hum kuchch aese Chupa Lete Hein,
Tanhai main Rote Hain,  or mehfil main hansalete hain,
Tum kyaa jano Har Pal Karte Hein  hum yaad sirf  aapko,
Or  ik aap hain, Yaad Na Karne Ka ilzam Laga Dete hain,

Written by hameeda ameer

Jab dil tute to dard bahut hotaa he,

Jab dil tute to dard bahut hotaa he,
Jab ishq sachcha ho to aankh bahut Rota he,
Asal ehsaas to tab hota hai ae mere  dost,
Ishq sachaa ho, mashuk ke dil mei koi aur hota he,,,,,,,

Written by hameeda  ameer

Hum Wo Nahi Jo badal Jayenge

Hum Wo Nahi Jo badal Jayenge ,
Hum wo Nahi Jo bikhar Jayenge ,
Hum wo Nahi Jo daga de Jayenge ,
Hum wo Nahi jo Gum Se ghabra-jayeinge
Hum wo hain jo patthar se bhi  larr-jayenge

Written by hameeda  ameer

Ishq ka gum sabko mile ye zaroori to nahi,

Ishq ka gum sabko mile ye zaroori to nahi,
Ishq ka sabko silaa milay ye zaroori to nahi,
Kuch log ishq karte hain umr bhar ke liye,
Samne walaa  aese ishq kare ye zarori to nahi,

Written by hameeda  ameer

Dil ke Zakhm jab had se badh jayege,

Dil ke Zakhm jab had se badh jayege,
Aankh ke Aasu  bankar ye nikal jayege,
Na puchnaa mere gum ki daastaa bibbo,
Mere sath-sath tumhare bhi ashq dhal jayenge,

Written by hameeda  ameer

Jiski yad main, ye saraa jahan bhuli thi

Jiski yad main, ye saraa jahan bhuli thi
Usi ne aaj kahaa bewafaa kyun mujhko
Jiski   khatir din rat  ki  khabar na rahii  
Usi ne aaj kahaa, kyaa yad kiaa Tha mujhko
Jiski  batoo main kabhi sirf mohabbat  thi
Usi ne  aaj zeher ka jam diaa he mujhko

Written by hameeda  ameer

Mein koi mosam nahii, na phool hoon kisi bagiaa ka,

Mein koi mosam nahii,  na phool hoon kisi bagiaa ka,
Mein  to  wo  khushboon hoon jiska koi nam nahii


Written by hameeda  ameer

Jhuty duniaa he ye jhute sabhi loog yahaa,

Jhuty duniaa he ye jhute sabhi loog yahaa,
Aesi  duniaa  se  mujhe  abb  koi  kam  nahii,

Written by hameeda  ameer



Tarap uthaa he ye dil aaj phir se jane kyun,

Tarap uthaa he ye dil aaj phir se jane kyun,
Wo  yaad  aayaa  bahutt  phir-se aaj  jane kyun,
Ajeeb she  he ye ishq bhi is duniaa main,
Wo choor mujhko gyaa wohi yad aayaa kyun,
Wo khush rahe bas dil duaa ye detaa he,
Wo  dil se jataa nahi mere aaj  bhi jane kyun,

Written by hameeda  ameer

Kabhii goor se dekhnaa peele pattoon ko,

Kabhii goor se dekhnaa peele pattoon ko,
Shakh ki judaii main kitne udas hote hain
Kabhi goor se dekhnaa khile phooloon ko,
Kantoon main rehkar bhi bikhar ne se kitnaa darte hain
Kabhii goor se dekhnaa chaman ke mali ko
Kitnaa khof he, khizaan se wo kitnaa darte hain
Kabhi goor se dekhnaa khud ke abdar ko
Hazar gum hokar bhi moot se kitnaa darte hain

Written by hameeda  ameer

Na tu badlaa snam mere, na main badly snam mere,

Na tu badlaa snam  mere, na main badly snam mere,
Dono reall ki patri ki tarhaa sath 2- chalte rahe,

Written by hameeda  ameer



Qsam to khaloon tujhe na milne ki

Qsam to khaloon tujhe na milne ki
Zindagi se abhii thoraa pyar baki he

Written by hameeda  ameer

Khai thi usne qasam kabhi na rone ki,

Khai thi usne qasam kabhi na rone ki,
Ishq ne toor diaa usko, or qasmoo-ko,

Written  by  hameeda  ameer

Chaloo phirse mohabbat jan wapas aaj karte hain,

Chaloo phirse mohabbat   jan  wapas  aaj  karte hain,
Tum pholoon ko bas chunn lo, hum kantoon ko chunnte hain,,,

Written by hameed ameer

Tumhain ptaaa he, mujhe gum main bhi adat he mushkurane ki,

Tumhain ptaaa he, mujhe gum main bhi adat he mushkurane ki,
Is ka ye matlab to nahii, ki tum zulmm ki intihaan kardoo,

Written by hameeda ameer

Qed karke meri khushiaa or gum,

Qed karke meri khushiaa or gum,
Apnii  mutthi  dabooch-lee  usne,

Written by hameeda  ameer

Choor diaa he aaj-se tujhko, Jaa abb sajaan loot bhii jaa

Choor  diaa he   aaj-se tujhko, Jaa  abb  sajaan   loot  bhii  jaa
Prchaai   hoon  main to  teri, jaa  abb  sajaan  lott   bhii  jaa,
Chand  ko  chonaa  chahoge,Tum  naa   choo  paooge,
Chandni   main  jeena he tujhko, jaa sajann  abb   lott   bhi  jaa,

Writte  by  Hameeda  Ameer

Rukjaa ae barish, ye aansu bhi abb sookh gaye,

Rukjaa ae barish, ye  aansu  bhi abb  sookh  gaye,
Din  or  rat hum   roye  the,  abb aansoon  apne  sookh  gaye,
Dil   ka  daman  huaa  kesaa   tar-tar aaj ye  apnaa,
Tanhaa   rehnaa sikh aaj se,  sajaan tujhse   choott  gaye,
Jinaa    nahii   abb  aas  pe,  uss  bedadri ke,
Wo   to  barso pehle  hi  the  choorr  gaye,
Dil   tuhi   pagal  tha,  bas  diwanaa  thaa,
Rakhii   jhuti  aas,  jo tujhse  choorr   gaye

Writte   by    Hameeda   ameer

Jhott ki duniaa main, abb jinaa kesaa,

Jhott  ki  duniaa  main,  abb  jinaa kesaa,
Mere  dil  tu bhi hojaa, Is duniaa jesaa,
Pyar, mohabbat, ishq, ye bas ik bimari he,
Koi  nahii  kartaa   ishq, duniyaa me tere jesaa,
Ishq   kiaa  to dil  se karnaa suno  bibbo,
Lelaa-majnu-heer-ranjhe, bas  unke  jesaa,
uski  khatir  kiaa  wo  jo na  kabii karnaa tha,
Wo   nahii  badlaa aaj bhi  he wesa ka wesa,
Aakhri abb ye feslaa bas  ye  meraa he,
Choor-doon tujhko tu nahi sajan mera he,
Abb  Khush rehnaa ( bibbo ) apni duniaa main,
Khushiaa  dil  ke  andar,  wahaa saweraa he,,,,,,,

Written by hameer  ameer

Tpte huwe sehraa main brastaa huaa badal,

Tpte huwe sehraa main  brastaa huaa badal,
Khizaa main ik khiltaa huaa, phool sirf tum ho,
Tpti hui dopehri main,   ikk  chaun  sir  tum ho,
Andheri  ratt  main  jaltaa huaa,  diaa  tum ho,
Viraanio   main   jo  mere  mehfil   sjade,
Vo  tum  ho,  wo  tum ho, wo  sirff  tum  ho

Writte  by  Hameeda  ameer


He matlab ki duniaa sari matlab ke sab dost yahaa,

He matlab ki duniaa sari matlab ke sab dost yahaa,
Bachke rehnaa is duniaa se, Koi nahii he dost yahaa,
Rakhnaa he jo dost agar,  Qurbani dete jaoo  Yahaa,
Ye  he  meraa, ye he teraa, Duniaa karti Aaj yahaa,
Jayegii  sang  neki  apnii,  Or to sab rehjaye yahaa,,,,,,,

Writte by Hameeda  Ameer

Thursday, August 21, 2014

Tu khush rahe abaad rahe jahaa bhi rahe snam mere,

Tu khush rahe abaad rahe jahaa bhi rahe snam mere,
Meri  har sans ne bas tujhko duaayein dii hain,,,,,,

Written by hameeda  ameer

TERI MUHABAT MUJH PAR IK QARZ HAI,

TERI   MUHABAT   MUJH PAR  IK  QARZ HAI,
TERA KHAYAL RAKHNA BASS MERAA FARZ HAI,

Written by hameed ameer

Tu kon he kyaa he, mujhe aaj bhi nahii ye ptaa,

Tu kon he kyaa he, mujhe aaj bhi nahii ye ptaa,
Haa magar ye sach he, tu mere dil ki dharkan he,

Written by hameeda  ameer

Woh larki bhii ajeeb thi,

Woh larki  bhii   ajeeb thi, 
who  itnii  door  hokar  bhi,
phir  bhi dil-ke  qareeb thii,
Woh  bangai   meri   zindagi,
Woh  bandagii   meri  bndgi,
wohi   zindagii meri aaj he,
Wo  kal bhi  jitnii  qreeb  thi,
wohi   mere har ik pall main he,

Wo aaj main, or kal main thi,


Written by hameeda  ameer

tanhaai main rehne ki adat kyun hogai tumko,

tanhaai main rehne ki adat kyun  hogai tumko,
Lagtaa  ( bibbo ) mohabbat  hogai  tumko,

Written by hameeda  ameer

mohabbat main jo logg

mohabbat  main  jo logg
yahaa Barbad hote hain,
wo  aam nahii hote  hain,  
wo kuchh  khass hote  hein,

mohabbat  sab   nahii karte,

heer  or  ranjhe  jesii, 
aese  logg  sabse alag, 
or bahutt   khas hote hain

Written by hameeda  ameer

ye soochkar aaj bahutt khush hoon main,

ye  soochkar aaj   bahutt khush  hoon main,  

teraa  hal  bhi abb mere dil  ke  jesaa he,
nahii  gum  abb  mujhe  teri is judai kaa, 


teraa  sayaa  to mere sath-sath rehtaa  he,
Written by hameeda  ameer

charagh-e eshq jalaoo agar jlanaa he,

charagh-e  eshq   jalaoo agar jlanaa he,
ye nafratoo ki aag se, kuch nahii miltaa,

bhtak rahaa he har ik insaan sachii chahat ko,

karo tum sachii chahaat, jhutt se kuch nahii miltaa,

na karnaa zulm kabhi,  greeb or budhoo par,

sunaa he iska  kabhii achaa fall nahi miltaa,

jo nam  karnaa  hain,  to ache tum kam  karoo,

gareeb  bachoo pe, zulm se kuch nahii miltaa,

buj-dil hain wo jo peeche se waar karte hain.

Aese   logo  ko  jahaa  main, naam kabhi nahii miltaa,


Written by hameeda  ameer
 

Sawaan ayaa barsade tu,,,,,,,,,,,

Sawaan   ayaa barsade  tu,

sawan jesaa pyaar, 
ayaaa  mosam  milne  ka,

abb  ajaa  tu  dildar,
pyaar teraa he sansein meri,

smajhle tu  dildarr,
had se  guzaar jauu main rabba,

sadqe jaun  pyaarr,
pahli bar-kiaa  he  tujhse,

mene-ishq-ye-pyaar,
abb  nahii sehnaa,

door  naa rehnaa,

tujhse bas dildar,
rat guzaaroon  gin-gin tare,

ishq mein, abb dildar,
cheann naa aaye yaad staaye,

sawann parein fooharr,

dil ye tarpe jalbin machry,


dekh kabhi tu  haal,,,,,
Written by hameeda  ameer

Iss dil ki sirf itnisi kahaani hoty he,

Iss  dil  ki  sirf  itnisi  kahaani  hoty he,
jise chahoo tum, wo apnaa nahii hotaa,
or  jo tumharaa  he, zindagi bhar ke liye,
uski  tumhein  kabhii qadar  nahii  hoti,


Written by hameeda  ameer

Tumhare pyaar main Hamko, wo Saharaa milaa,

Tumhare  pyaar main  Hamko, wo Saharaa milaa,
Jo  kabhii  na  milaa humko, wo nazaaraa  milaa,
tumhein  hum  kese  btayein, ye  apnaa  hale dil,

Meri  Jazbaat  ki  kashty  ko, wo  kinaraa milaa,

bahutt  tanhaa the humto  iss  duniaa  main,

Meri tanhaaioon ko, wo ajabb  nzaaraa  milaa,

Abb  isse aage  or  kyaa  kahoo  snam  tujhse,

Doobi   kashty  ko meri  bas, wo  kinaraa  milaa,,,,


Written  by  hameeda  ameer