Sunday, August 10, 2014

IK NAZM, MAIN IK AURAT HOON....


IK NAZM, MAIN IK AURAT HOON....
Wo aksar yehi kehtaa thaa tu sirf mery he, 
Tu mery jan hain, mery tu zindagi he,,,
Main uski masoom chahaat par hansty,
Or sochty kitnaa khoob suraat khuwaab he ye,
Use ptaa nahii ki main kon hoon kyaa hoon,
Main sirf ik parchaai hoon ik khuwaab hoon,,,,
Ik chand hoon, jiski chandnii to wo mahsoos kar saktaa he, 
magar us ko choo nahii saktaa, 
main wo aasmaa hoo jiskoo wo dakh-saktaa he, 
magar, choo nahii saktaa,
Main woo phool hoon jise wo toor to saktaa he, 
magar khushboo qadd nahii kar saktaa, 
main wo dharty hoon, jis par wo soo saktaa he 
magar use apne wajud nahi bnaa saktaa, 
main wo, behti nadii hoon jis main wo nhaa to saktaa he, magar, mujhe behne se nahii rok saktaa, 
main ik azaad mooh zoor hwaa hoon, 
jis-main wo zindaa he, jis ke binaa wo ik pal, 
nahii ji saktaa, Jis ko wo sirf mahsoos kartaa he, 
main uske har sans main basii hoon,,,,,,,,,,,,,, 
main usse judaa nahii, phir kyun akhir kyun,
wo ahsaas dilaa-naa chahtaa he ki main uski hoon,,,,,,,,,,,
main sirf uski hoon ye sach he, jab tak ye duniyaa he, 
jab tak, ye chand he, jab tak ye suraj he, 
jab tak ye raat he, or din hain main bhi, zindaa hoon, 
uski sansoo-n main, us ki dharkan main, sirf main koon, 
main kon hoon, main ( mohabbat ) hoon, 
main (ishq ) hoon, or kuch nahii hoon,
Jahaa-jahaa mujhe pyaar milegaa, 
Main us dil bas-jaungii, zindagii bhar ke liye,
Or rehty duniyaa tak Main sary duniyaa ko yad aaungii,

main ik ( aurat ) hoon, sirf ik ( aurat ) hoon,,,,,,
jis ke binaa ye smaaj, ye duniyaa adhoora
a he, 
Jis ke binaa ( jannat ) bhi mukammal nahii,
Main hoor ban kar, wahaa bhi milungii,
Har us insan ko, jo mery izzar,,, 
or mujhe sachaa, pyar sachaa ishq kartaa he,
main ik auraat hoo, or kuch nahii,
main ik maa hoon, main ik beti hoon,
main ik behn hoon, main ik biwi hoon, 
main ik mehbooba hoon,
mujhe har roop main, sirf sachaa pyar chahiye,
izzat chahiye,,,,,,or kuch nahii,,,,,,,,,
writen by hameeda ameer

No comments:

Post a Comment