Friday, August 8, 2014

Kyun aaj phir tere pyaar main,

Kyun  aaj  phir tere pyaar main,
Teri  yadd main chalki  aankhein,
Kyun humein rat-din  tarpaati,
Teri  pyaari,  wo  nasheeli  aankhein,
Jahaa bhi dekhoo  nazar aaye abb to  tu hi tu,
Haye sharmaati, lajaati teri do aankhein,
Kyaa  kahein  hal apne dil kaa hum,
Dil main teer-si  chubhti  hui  wo  aankhein,
Neend aankhoo main nahii, na qraar is  dil ko he,
Aagai yaad bas wo zalim, tumhari  aankhein,
Chale bhi aao pookaraa he tarap kar dil ne,
Neend ajaye humein,  dekh nasheli   aankhein,

written by hameeda ameer

No comments:

Post a Comment