Tumne dekha
he kabhi girte huwe pattoon ko,
Shakh se
tutkar peroon main ronde jate hain,
Tumne dekhaa he kabhii unche parbatoon ko,
Tutkar khud
hi sajdoon main wo girjate hain,
Tumne dekhaa he
kabhi madhoosh fizaaoon ko,
Kese bin
poonche wo khoshboo liyejate hain,
Tumne dekhaa
he goor se samundar ko kabhii,
Chandni ratt
main kese wo bilbilate hain,
Tumne dekhaa
he kabhi sard siyaah ratoon ko,
Kese jugnoon or patange gungunate hain,
Tumne dekhaa
he kabhi chohdvii ratoon ko,
Kese bechenn unmein chakoor nzaar aate
hain,
Tumne dekhaa
he kabhi gull se door bulbul ko,
Yad main gull
ke bichar k wo kese marjatein
hain,
Tumne dekhaa he kabhii
bhawroon ko,
Kitni shiddar
se wo gull sabhii khilatein hain,
Tumne dekhaa kabhii
shmma or parwane ko,
Kis tarhaa
dono gale milke wo jaljate hain,,,
Written by
hameeda ameer

No comments:
Post a Comment