jisne peda kiyaa badaa
he kiyaa,
hath apnaa pakar khraa
he kiyaa,
jis ki godii mai khell
karr hum sab,
sari musibatoo se
mahfooz humko kiyaa,
aaj lachar hai wahii
maa-baap,
pyaar se palaa kabhi
uff na kiyaa,
aaj unko hi kehti ye
awlaad,
farz pooraa kiyaa
baraa jo kiyaa,
aayegaa unko bhi
burapaa jab,
tab ye pchtayenge haye
kyaa ye kiyaa,
naa dukhaaoo unke dil
ko tum,
jisne wajood duniyaa mai humko diyaa,
waqt rehte huwe samhal
jaoo,
kal naa pachtanaa haye
kyaa ye kiyaa,
written by hameeda
ameer

No comments:
Post a Comment