Aaye the
hum, khali hath, Jayenge ik kfan ke sath,
Jab
janaa he choor ye duniyaa,
Ku akhir
ye mera, teraa,,,,
Aao aaj
se hum ik kam karein,
Meraa teraa, na keh kar,
Sary duniyaa ke chahat, ye nam karein,
Aao aaj se bass
hum ye kam karein,
Sabhi budhoo ko maa-baap kahein,
Unki khidmat aao mil
kar karein,
Sabhi yateemoo ke sar par,
Hum rakh ke hath, unko aao pyaar karein,
Sabhii gareeboon ko hum
lagayei bas gale,
dosty or chahat
bas ye kam karein,
Sabhi vidhwaoon ko bnaa ke apni sagi behn,
Unke bhai ka
farz aam karein,
Sabhi besaharoon
ka
banke saharaa,
Aao aaj se
unka hum hath bane,
Sabhi ke
dukhoo ko dekh
kar,
Aankhein apnii nam
ye karein,
Sabhi ke
dukhoon
ko samjh kar apnaa,
Madad aaj se hum aam karein,
Apne
RABB ki bat par aao,
Kuch to hum amal bhii karein,
Nmaz padh kar bhi
jhut bolnaa,
Aaj se aao
ye bas,,,,,,band karein,
khuda hmaraa dil
dekhtaa he,
aaj se
hum kuch to nekk kam karein,
Sabhi ko
aaj se
lagakar gale,
Teraa meraa na
aaj se bas karein,,,,,,,,
Writen by
hameeda ameer

No comments:
Post a Comment