Thursday, March 20, 2014

Koi tumse gila nahi, na is zamane se mujhe,

Koi  tumse gila nahi,  na is  zamane se mujhe,

hum  jo  Barbaad  huwe  ye  kismat  ki  bat  thi,

Tum to bas  bahanaa bane meri barbadi  kaa ik,

Ishq main nam ho,  yehi  kismat ki  likhi thi,

Bhul bethi hoon aaj  teri yad main ye duniyaa jo main,

Aese  ishq  se  main  aajtak to khud  bhi  anjan  thi,

Chor diyaa he tujhko, phir bhi tu sath mere rehtaa he,

Ishq  main  judai, mere  hatho  ki lakeero  main likhi thi,

 


Written by Hameeda   Ameer

No comments:

Post a Comment