pagal
hain wo log,
jo ishq buraa ye
kehte hain,
dil
to wahi bas sachaa he,
jis dil main
dilbar rehte hain,
jis-ko
nahii he ishq jahaan
main, khak wo duniyaa
jite hain,
karte hain
jo ishq jahaan main,
amar wohi bas
hote hain,
mery
ye sansei bhi
chalty, dilbar ki
hi sansoon se,
ishq
main jo ashq
behte, wo moty jese
hote hain,
gum jo
milein ishq main
mujhko,wo gum mujhko pyaare hain,
ishq ki aag main jo jal-jaye,
dil wohi kundan hote
hain,
written by hameeda
ameer

No comments:
Post a Comment