9 -
Ishq
Karnaa Hai To,
Phir Ishq Kaa Dastoor Suno,
Sari Duniyaa Mein Kiyaa Naam, Wo Naam Suno,
Sari Duniyaa Mein Kiyaa Naam, Wo Naam Suno,
Shiri-FaarHaad
Ne Wo Kesi Wafayein Ki Thi,
Mar-Gaye Ishq Mein Hanste huwe wo nam suno,
Mar-Gaye Ishq Mein Hanste huwe wo nam suno,
Sooni Mahiwaal Ne Kyaa Ishq Kiyaa Yaad
Karo,
Pyaar Ke Naam Pe Jaan Gawai, aaj Ye Bhi Sunoo,
Pyaar Ke Naam Pe Jaan Gawai, aaj Ye Bhi Sunoo,
Leylaa-Leylaa
Karte Majnu Khaq Chani Sehraa ki,
Mar-Gaye wo Khushi Se, aaj ye bhi suno,
Mar-Gaye wo Khushi Se, aaj ye bhi suno,
Pyaar Karnaa Asaan Hai- Nibhana
Bahut Mushkil he,
Pyaar Karo To Nibhana Tum, ( bibbo ) ki ye Baat Suno,
Pyaar Karo To Nibhana Tum, ( bibbo ) ki ye Baat Suno,
Sachchi Hogi Jahaa Ulfaat
Wo Karega Naa Dagaa,
Chaho Jis Ko Umar Bhar Nibhana, aaj Ye bhi Suno,
Chaho Jis Ko Umar Bhar Nibhana, aaj Ye bhi Suno,
(Bibbo)
Ne
Pyaar
Kiyaa Or Nibhayaa Wadaa,
Pyaar Ke Wade Pe Jaan Gawai aaj Ye bhi Sunoo,
Written By Hameeda Ameer
Pyaar Ke Wade Pe Jaan Gawai aaj Ye bhi Sunoo,
Written By Hameeda Ameer

No comments:
Post a Comment