Saturday, September 28, 2013

Mere abbu mujhe rulate hai,

69-
Mere  abbu  mujhe  rulate hai,

Rooz  sapnoo  main  mere  aate  hai,
Mujhko  kehte  the  dil  jigar  apnaa,
Gerr  ka  aaj   kyun  banate  hain,
Apne  haathoon  main  wo  jhulaate  the,
jhoollaa  khud  ko mera  bataate  the,
Apne  kandhe.. mujhe  bithaate  the,
jan   keh ke  mujhe  bulate  the,
Main  thi unke chaman ki ik daali,
kat  kar  khud  se  door  kar dalli,
Ashq behte hei khud ke bhi rote hai,
phir  bhi  mujh ko  paraai   kar   dali,
Meri..mamta mujhe bulaati he,
rooz  yadden  mujhe rulati hain, 
aankhein jab bhi   karun  main  band,
kyun khyaaloon main mere aate he,
Kitni  pyaari meri maa thee wo,
har ghadhi mein yuse sataati thi,
Phir bhi wo naa mujhe rulaati thi,
saraa  din  wo gale lagaati thi,
Mujhko  nehlati  wo dhulaaty thi,
naaz nakhre mere yuthaaty thi,
Meri galty sabhi chupaati thi,
mere abbu  se na bataati thi,
Khana hathoon se wo  khilati thi,
pyaar se good main  bithati thi,
Meri teacher wo khud ban jati thi,
sare achche   gun sikhati  thi,
Aaj  wo ammi hain  na  abbu hain,
main hoon or mery sirf  tanhaai, 
Yaad unki bahut hi he aai,
aankhein sawaan ye banai Hein,
Deakhne ko unhe taraas thi hoon,
Bhool  bhethe  he  aaj  jo  mujh ko,
Deke pardeas mein sabhi mujhko,
yad  mujhko wo  bhi   karte  hein,
Thandi aahein ..wo bhi bharrte hein,
dekhne  ko  mujhe  taraste hein,
Haath pachtaa ke wo bhi maalte hein,
zoor  dil  par  ab nahi chaltaa,
duniyaa ka jo dastur he,
sabhi maa  baap uspe challte hein,
Mujh ko wo bhool jaye dil se khudaa,
koshishein wo  hazaar  karte  hain,
Bhai behne saare  rote  hain,
jab bhi mujhko wo phone karte hein,
Mein  bhi unke sang  rooti hoon,
apne  ashqon se  gum ko dhooti hoon,

Dil ko  apne  mnaaliyaa   mene,
Jaan  sajan  banaaliyaa  mene,
Ap to mein bhi sabaar se jiti  hoon,
zindgi apni usko… kehti hoon,
Sarri duniyaan ko bhool bethi hoon
pyaar mein  apne  ek  sajaan  ke,
Bhool  jaao  tum  bhi ab mujh ko,
chen se tum raho,  or  rehne  do,
Bhooli  yadei na abb  sataao tum,
loat  ke.. apne ghar ko jaao tum,
Mere   baabul …or maa ko,
ya  phir mere paas leke …aao tum,

 
written  by   hameeda   ameer

No comments:

Post a Comment