10 -
ik anjanaa, ik andekhaa,
bhai bangayaa aaj wo meraa,
jaan se pyaari
wo mujhe kehtaa,
sagi hi behnaa, mujhe wo
kehtaa,
bastaa wo pardeas
mei jake,
phir bhi dil
main, mere hanstaa,
raat or din wo batei kartaa,
raat or din wo batei kartaa,
jan mujhe wo
kehtaa bhai,
bhai teraa hoon, faqr main kartaa,
bhai teraa hoon, faqr main kartaa,
pyaar wo bas beshumaar
he kartaa,
liyaa he tune janaam dubaraa,
liyaa he tune janaam dubaraa,
tere bin ab
nahi he, behna guzaaraa,
yehi
yakin wo dil se
kartaa,
tere dil main bhi mai
hoon dharaktaa,
behn---bhai, ka paak ye rishtaa,
behn---bhai, ka paak ye rishtaa,
is
ke aage jahaan
ye jhuktaa,
aesaa rishta nahi hei
dujaa,
jesaa---teraa, meraa ye rishtaa,
rooz
yehi bas bat wo kehtaa,
door bhi rehkar bhai teraa hoon,
door bhi rehkar bhai teraa hoon,
kyun ki mei
bhai teraa hoon,
behnaa meraa aaj ye wadaa,
behnaa meraa aaj ye wadaa,
aakhri sans bhi rahegi tu meri behnaa,
writen by hameeda
ameer

No comments:
Post a Comment