23 -
dil main jab mail ho, to
loog badal jate hain,
dam to bharte hain, wafaao
kaa, badal jate hain,
sachche logo ka,
pyaar bhi anmool huwaa karta he,
unko dukh-dard ka, naa
ruswai kaa dar huaa
karta he
unki chahat bhi zmaane
se alag hooti he,
aese log qsmai
nahi khate, wada bhi
nahi
karte hain,
waqt ane pe, yehi
jaan diyaa
karte hain,
tham-lo unko, jo choor
ke tum ko jayei,
ishq sachchaa he to,
phir un ko mnayaa jaye,
unko thukraa ke yadon main, jioge phir to,
rishtaa koi bhi
ho, kesaa bhi ho sun-lo logo,
niw bas
pyaar ki, sachchai ki rakkhi
jaye,
jisko bhi chaho
tum dil se hi,
chahna logoo,
man kar bat ye (
bibbo ) ki sach sehi jiyo tum logo,
witten by hameeda ameer

No comments:
Post a Comment