aankhoon se meri
jab
se, wo door
ho gyaa,
sare jahaa kaa
dard, wo dil main
smoon gayaa,
yaadoon main uske
sath bhatakti rahi sdaan,
wo aesaa ishq
karke, umr qead
ho gaya,
dil ko
mere, ye jan kar,
tasalli huyi he aaj,
wo bhi to
mere ishq mai,
zmane se larr-gyaa,
barbaad main hui
hoon, or wo
bhi ho gayaa,
bass is khyaal
se, meraa ye
dil behall gaya,
yaad aagaai mujh ko, pehli
thi jo mulaaqaat,
barsaat ki thi raatt ,
wo dil main utar gaya,
ayaa naa wo to loat
kar, naa yaad-e
dil gaai,
lamhaan wo mere
dil mai, kuch
aese utaar gaya,
writen by hameeda
ameer

No comments:
Post a Comment