Thursday, June 19, 2014

Sari duniaa se maa to pyari he,

Sari  duniaa  se   maa  to  pyari he,

Sari  khushiaa   maa  pe  waari he,

Maa ka sayaa rahe, sadaan  sarr  par,

Ro-ke   raab se   duaa  hmari   he,

Maa   ki  chahaat ka koi hisab nahii,

Maa  ki mamtaa  ka koi  jwab nahii,

Maa  hii duniaa  main  sabse  pyari  he,

Uske qadmoon main jannat sari  he,

Maa ke qadmoon main doo jahaa rakh doon,

Aarzoo   dil  ki   ye  hmari  he,

Maa pe duniyaa  humne  wari  he,

Maa  ka aanchal sabhi ke sar pe rahe,

Aarzoo   dil  ki  yehii  hmari   he,



Written  by  hameeda  ameer

No comments:

Post a Comment