Sunday, February 16, 2014

kyaa aap ko ye malum hai ki,

kyaa aap ko ye malum hai  ki,
sapne kab-tak khubsuraat hote hai,
jab tak wo pure naa hoon,
kyaa aap ko ye malum he ki,
ishq kyaa he, ku us mai tarap he,
jis ko hum paa nahi sakte wo ishq he,
or jab use paa liyaa to,ishq khtam,
uske  bad sirf yadei hei, sirf yadei,
kyaa  aap ko malum he ki,
ishq sachaa kesaa hotaa he,
jis ishq main, kuch bhi naa pane ki ummeed,
sirf mehboob ki khushi, yehi sachaa ishq he,
jis pyaar mei ummeed or, badlaa chahiye,
wo ishq  to  kyaa,,, pyar bhi nahii,  hai,
kyaa aap ko malum he ki allah se sachaa ishq,
sirf usi ko he jo allah ki btai har bat par amal kartaa he,
agar sirf nmaz rozaa haj karte hai,
or allah ki  or btai batoon  par nahi chalte,
to wo allah se sachaa ishq nahi,
sirf dar he, or kuch nahii,mere hisab se,
kyaa aap ko malum hai, ki duniyaa mai
naa-mumki kuch bhi nahii, mot ke siwaye,
bas koshish,,,,,,,,koshish, or aap kamiyaab zarur honge,
ye ( hameeda bibbo ) ka  dawaa he,
bass haarr nahii manni hai, koshish koshish,,,,,,
kyaa aap ko malum hai ki kuch log,
khud koshish nahi karte jaldi har man lete hei,
or doosh allah ko,yaa taqdeer ko dete hai,
allah unke sath he, jo mehnat or koshish karte hai,
sachaa, ishq chahe allah se ho yaa bande se,
uskaa phal zarur miltaa he,
dil sacha he to, rab tumhare  sath he,
muh se batei karne se kuch nahii hotaa,
jo he sirf dil, or aap ki niyat he,
kyaa  aap ko malum he  allah sab kuch dekhtaa he,
zban jhut bhi bole, dil masoom he,dil sachaa he, saf he,
to allah aap ke sath he,ye meraa, manna he,
aap sab ka kyaa khyal he,,,,,,,sahii,,, yaa galt,,,,

written   by  hameeda  ameer

No comments:

Post a Comment